Mirza ghalib shayari in hindi 2 lines |mirza ghalib poetry

Mirza ghalib shayari in hindi 2 lines 

Doston Mirza Ghalib Shayari ke Sabse famous shayer the.Aaj hum aapke liye Lekar aaye hain Mirza Ghalib shayari in hindi Jo aapko bhut Pasand aayegi.

Ghalib Shayari Aaj bhi Bhut pasand ki jaati hai jitni Ghalib ke zmane mein ki jati thi.

Aaj aap Ghalib Shayari.Mirza ghalib shayari in hindi,Ghalib ki Shero-shayari ka lutf lijiye aur apne Doston ke saath Facebook,whatsapp,aur Instagram par share kariye.

mirza ghalib
mirza ghalib

Mirza ghalib

1)वो आए घर में हमारे, खुदा की क़ुदरत हैं!
कभी हम उमको, कभी अपने घर को देखते हैं

Wo aaye hmare ghar Khuda ki qudrat hai,
Kabhi hum unko kabhi apne ghar ko dekhte hain

2)हर एक बात पे कहते हो तुम कि तू क्या है
तुम्हीं कहो कि ये अंदाज़-ए-गुफ़्तगू क्या है

Har Ek baat pe kehte ho tum ki Tu kya hai,
Tum hi kaho ki ye andaaz-e-guftugu kya hai

3)हुई मुद्दत कि ‘ग़ालिब’ मर गया पर याद आता है,
वो हर इक बात पर कहना कि यूँ होता तो क्या होता !

Hoi Muddat ki “Ghalib” mar gya par yaad aata hai,
Wo har ek baat par kehna ki yun hota to kya hota

4)हमको मालूम है जन्नत की हक़ीक़त लेकिन,
दिल के खुश रखने को ‘ग़ालिब’ ये ख़याल अच्छा है

Hamko maloom hai jannat ki haqiqat lekin
Dil ke behlane ko “Ghalib” ye khayal achcha hai

5)इश्क़ पर जोर नहीं है ये वो आतिश ‘ग़ालिब’,
कि लगाये न लगे और बुझाये न बुझे

Ishq Par Zor Nahi hai ye Wo aatish “Ghalib”
Ki Lgaye Na Lage Aur Bujhaye Na Bane.

6)जला है जिस्म जहाँ दिल भी जल गया होगा
कुरेदते हो जो अब राख जुस्तजू क्या है

Jlaa hai jism jhan dil bhi Jal gya Hoga,
kuredete Ho Jo Ab Rakh Justuju Kya Hai.

7)इश्क़ ने ‘ग़ालिब’ निकम्मा कर दिया
वर्ना हम भी आदमी थे काम के

Ishq ne “Ghalib” Nikmma Kar Diya,
Warna Hum Bhi Aadmi the Kaam Ke.

Also Read: Sad Shayari

Also Read:Best Romantic Shayari

8)इस सादगी पे कौन न मर जाए ऐ ख़ुदा
वो क़त्ल भी करते हैं और हाथ में तलवार भी नहीं

Is Sadagi pe kun na mar jye ae Khuda,
Wo qatal bhi karte hain aur haath mein talwaar bhi nahi.

9)उन के देखे से जो आ जाती है मुँह पर रौनक़
वो समझते हैं कि बीमार का हाल अच्छा है

Unke dekhe se jo aa jati hai monh par Raunaq,
Wo samjhate hain ke bimaar ka haal achcha hai.

Mirza ghalib shayari

mirza-ghalib-shayari
mirza-ghalib-shayari

10)हज़ारों ख़्वाहिशें ऐसी कि हर ख़्वाहिश पे दम निकले
बहुत निकले मेरे अरमान लेकिन फिर भी कम निकले

Hazaron khawahishen aisi Ke har Khawahish Pe dum nikle,
Bhut Nikle Mere armaan lekin Phir bhi Kam Nikle.

11)मोहब्बत में नहीं है फ़र्क़ जीने और मरने का
उसी को देख कर जीते हैं जिस काफ़िर पे दम निकले

Muhabbat mein nahi Hai Farq Jeene Aur Marne Ka,
Usi Ko dekhkar jeete hain Jis kaafir pe Dum Nikle.

12)इशरत-ए-क़तरा है(pleasure of drop)दरिया में फ़ना हो जाना
दर्द का हद से गुज़रना है दवा हो जाना

Ishrat-e-qatra Hai Dariya mein Fnaa ho jana,
Dard Ka Had se Guzarna Hai Dwa Ho jana.

13)ये न थी हमारी क़िस्मत कि विसाल-ए-यार होता
अगर और जीते रहते यही इंतिज़ार होता

Ye na thi hmari qismat ke wisale yaar hota,
Ager aur jeete rehte yahi Intezaar Hota.

14)हैं और भी दुनिया में सुख़न-वर बहुत अच्छे
कहते हैं कि ‘ग़ालिब’ का है अंदाज़-ए-बयाँ और

hain aur bhi duniya mein suḳhan-var bahut achchhe
kahte hain ki ‘ġhalib’ ka hai andaz-e-bayan aur

15)रेख़्ते के तुम्हीं उस्ताद नहीं हो ‘ग़ालिब’
कहते हैं अगले ज़माने में कोई ‘मीर’ भी था

Rekhte ke tumhi Ustaad nahi ho”Ghalib’,
Kehte hain Agle zmaane mein koi”Meer”bhi tha.

17)काबा किस मुँह से जाओगे ‘ग़ालिब’
शर्म तुम को मगर नहीं आती

Kaba kis Monh se jaoge “Ghalib”
Sharm Tumko Magar Nahi Aati.

18)आगे आती थी हाल-ए-दिल पे हँसी
अब किसी बात पर नहीं आती

Aage aate thi Haal-e-Dil pe hansi,
Ab Kisi Baat Par Nahi aati.

19)मौत का एक दिन मुअय्यन है
नींद क्यूँ रात भर नहीं आती

Maut Ka Ek Din Mauyyan(Fix)Hai,
Nind Kyon raat Bhar Nahi aati.

mirza-ghalib-shayari-in-hindi
mirza-ghalib-shayari-in-hindi

Mirza ghalib shayari in hindi

20)हम को उन से वफ़ा की है उम्मीद
जो नहीं जानते वफ़ा क्या है

Hamko Unse hai wfaa ki Umeed,
Jo nahi Jante Wfaa Kya Hai.

21)कब वो सुनता है कहानी मेरी
और फिर वो भी ज़बानी मेरी

Kab Wo sunta hai khani Meri,
Aur Wo bhi zubani Meri.

22)दर्द मिन्नत-कश-ए-दवा न हुआ
मैं न अच्छा हुआ बुरा न हुआ

Ddard Minnat-Kash-e-Dvaa Na Hua,
Main Naa Achcha Hua Boora Na Hua.

23)हम ने माना कि तग़ाफ़ुल(neglect)न करोगे लेकिन
ख़ाक हो जाएँगे हम तुम को ख़बर होते तक

Hum ne mana ki Tgaafull Na karoge lekin,
Khak ho jayenge hum tumko Khabar Hone tak.

24)पूछते हैं वो कि ‘ग़ालिब’ कौन है
कोई बतलाए कि हम बतलाएँ क्या

Pochte hain Wo ki “Ghalib” Kun hai,
Koi Batlaye Ki Hum Batlayen Kya.

25)कोई मेरे दिल से पूछे तिरे तीर-ए-नीम-कश(half drawn arrow) को
ये ख़लिश कहाँ से होती जो जिगर के पार होता

koi mere dil se puchhe tere tir-e-nim-kash ko,
ye ḳhalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota,

26)करने गए थे उस से तग़ाफ़ुल का हम गिला
की एक ही निगाह कि बस ख़ाक हो गए

karne ga.e the us se taġhaful ka ham gila,
ki ek hi nigah ki bas ḳhaak ho gae.

27)मरते हैं आरज़ू में मरने की
मौत आती है पर नहीं आती

Marte hain aarzu mein marne ki,
Maut aati hai par nahin aati,

28)मेरी क़िस्मत में ग़म गर इतना था
दिल भी या-रब कई दिए होते

Meri qismat meñ ġham gar itna tha,
Dil bhi ya-rab kai diye hote.

29)कितने शीरीं(मीठे) हैं तेरे लब कि रक़ीब(enemy)
गालियाँ खा के बे-मज़ा न हुआ

kitne shirin hain tere lab ki raqib,
Galiyan kha ke be-maza na hua.

30)आशिक़ी सब्र-तलब(patience)और तमन्ना बेताब
दिल का क्या रंग करूँ ख़ून-ए-जिगर होते तक

Ashiqi sabr-talab aur tamanna betab,
Dil ka kya rang karun ḳhun-e-jigar hote tak.

mirza-ghalib-shayari
mirza-ghalib-shayari

Ghalib shayari

31)फिर उसी बेवफ़ा पे मरते हैं
फिर वही ज़िंदगी हमारी है

Phir usi bewafa pe marte hain,
Phir vahi zindagi hamari hai.

32)दिल ढूँडता है फिर वही फ़ुर्सत कि रात दिन
बैठे रहें तसव्वुर-ए-जानाँ किए हुए

Dil Dhundta hai phir vahi fursat ke raat din,
Baithe rahe tasavvur-e-janan kiye hue.

33)होगा कोई ऐसा भी कि ‘ग़ालिब’ को न जाने
शायर तो वो अच्छा है प बदनाम बहुत है

Hoga koi aisa bhi ki “Ghalib” ko na jaane,
Shayar to vo achchha hai par badnam bahut hai.

34)हम वहाँ हैं जहाँ से हम को भी
कुछ हमारी ख़बर नहीं आती

Ham vahan hain jahan se ham ko bhi,
kuchh hamari Khabar nahi aati.

35)इश्क़ मुझ को नहीं वहशत ही सही
मेरी वहशत तिरी शोहरत ही सही

Ishq mujh ko nahin vahshat hi sah
Meri vahshat teri shohrat hi sahi

36)कहते हैं जीते हैं उम्मीद पे लोग
हम को जीने की भी उम्मीद नहीं

kahte hain jite hain ummid pe log
Ham ko jine ki bhi ummid nahin

37)ग़ालिब’ बुरा न मान जो वाइज़(religious wise man)बुरा कहे
ऐसा भी कोई है कि सब अच्छा कहें जिसे

“Ghalib” bura na maan jo vaaiz bura kahe,
Aisa bhi koi hai ki sab achchha kahen jise

38)मैं भी मुँह में ज़बान रखता हूँ
काश पूछो कि मुद्दआ क्या है

Main bhi munh mei zaban rakhta hun
kaash puchho ki muddaa kya hai

39)बक रहा हूँ जुनूँ में क्या क्या कुछ
कुछ न समझे ख़ुदा करे कोई

Bak raha hun junun mein kya kya kuchh,
kuchh na samjhe Khuda kare koi.

sher-shayari
sher-shayari
Mirza ghalib shayari

40)हर एक बात पे कहते हो तुम कि तू क्या है
तुम्हीं कहो कि ये अंदाज़-ए-गुफ़्तुगू क्या है

Har ek baat pe kahte ho tum ki tu kya hai,

Tumhi kaho ki ye andaz-e-guftugu kya hai

41)गो हाथ को जुम्बिश नहीं आँखों में तो दम है
रहने दो अभी साग़र-ओ-मीना मिरे आगे

Go haath ko jumbish nahin ankhon mein to dam hai,
Rahne do abhi saġhar-o-mina mere aage.

42)कोई वीरानी सी वीरानी है
दश्त(forest)को देख के घर याद आया

koi virani si virani hai,
Dasht ko dekh ke ghar yaad aaya.

43)जान तुम पर निसार करता हूँ
मैं नहीं जानता दुआ क्या है

jaan tum par nisar kart hun
Main nahi janta dua kya hai

44)तेरे वादे पर जिए हम तो ये जान झूट जाना
कि ख़ुशी से मर न जाते अगर ए’तिबार होता

Tere vaade par jiye ham to ye jaan chuut jaana,
ki ḳhushi se mar na jaate agar Aitbar hota.

45)है कुछ ऐसी ही बात जो चुप हूँ
वर्ना क्या बात कर नहीं आती

Hai kuchh aisi hi baat jo chup hun,
Varna kya baat kar nahi aati.

46)निकलना ख़ुल्द(jannat)से आदम का सुनते आए हैं लेकिन
बहुत बे-आबरू हो कर तिरे कूचे से हम निकले

Nikalna Khuld se aadam ka sunte aae hain lekin
Bahut be-abru ho kar tere kuche se ham nikle

47)जाते हुए कहते हो क़यामत को मिलेंगे
क्या ख़ूब क़यामत का है गोया कोई दिन और

jaate hue kahte ho qayamat ko milenge,
kya ḳhub qayamat ka hai goya koi din aur.

48)दिल-ए-नादाँ तुझे हुआ क्या है
आख़िर इस दर्द की दवा क्या है

Dil-e-nadan tujhe hua kya hai
Aḳhir is dard ki dava kya hai

49)मेहरबाँ हो के बुला लो मुझे चाहो जिस वक़्त
मैं गया वक़्त नहीं हूँ कि फिर आ भी न सकूँ

Mehrbaan ho ke boola lo mujhe chaho jis waqt,
Main gya waqt nahi hon ki phir aa bhi na sakun.

50)अर्ज़-ए-नियाज़-ए-इश्क़(blessing of love)के क़ाबिल नहीं रहा
जिस दिल पे नाज़ था मुझे वो दिल नहीं रहा

Arz-e- niyaaz-e-ishq ke qabil nahi rhaa,
Jis dil pe naaz tha mujhe wo dil nahi rhaa.

51)जान दी दी हुई उसी की थी
हक़ तो यूँ है कि हक़ अदा न हुआ

Jaan di di hui usi ki thi,
Haq to ye hai ki Haq adaa na Hua.

Galib ki shayari

52)जब कि तुझ बिन नहीं कोई मौजूद
फिर ये हंगामा ऐ ख़ुदा क्या है

Jab ki Tujh bin nahi koi maujood,
Phir ye hagama-e- khuda kya hai.

53)जब तवक़्क़ो ही उठ गई ‘ग़ालिब’
क्यूँ किसी का गिला करे कोई

Jab Tawaqqo hi uth gai “Ghalib”,
kyon kisi ka gila kare koi.

54)कोई उम्मीद बर नहीं आती
कोई सूरत नज़र नहीं आती

Koi Umeed bar nahi aati,
koi Surat Nazar nahi aati.

55)मैं ने माना कि कुछ नहीं ‘ग़ालिब’
मुफ़्त हाथ आए तो बुरा क्या है

Main ne mana ki kuch nahi “Ghalib”
Muft Hath aaye to boora kya hai.

Leave a Comment

Motivational Good evening quotes Best Bakrid mubarak Wishes 2022 Best Nazar Shayari Palak Tiwari Killer Look Justin Bieber: फेमस पॉप सिंगर जस्टिन बीबर को हुआ पैरालिसिस इन बीमारियों के भी हो चुके हैं शिकार